bas hi hamein yak nazar misl-e-sharar dekhna
bas hī hameñ yak nazar misl-e-sharar dekhnā
kis ko mile bā-nasīb bār-e-digar dekhnā
ā.ina-sāñ kyā ġharaz ham ko bad-o-nek se
sāmne jo aa gayā ek nazar dekhnā
aur to bāteñ burī chhaT ga.iiñ sab jīte-jī
aañkh muñde par chhaTā ek magar dekhnā
sar ko uTh kar zarā dekhiye merī taraf
aa ke udhar baiThnā aur idhar dekhnā
dekhiye 'mārūf' ab kyuuñ ki dil-o-dīñ rahe
is but-e-kāfir kā hai ye hī agar dekhnā
bas hi hamein yak nazar misl-e-sharar dekhna
kis ko mile ba-nasib bar-e-digar dekhna
aaina-san kya gharaz hum ko bad-o-nek se
samne jo aa gaya ek nazar dekhna
aur to baaten buri chhaT gain sab jite-ji
aankh munde par chhaTa ek magar dekhna
sar ko uTh kar zara dekhiye meri taraf
aa ke udhar baiThna aur idhar dekhna
dekhiye 'maruf' ab kyun ki dil-o-din rahe
is but-e-kafir ka hai ye hi agar dekhna
- Intikhab-e-Sukhan,Volume-001
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.