bas ek nazar se hi taswir kar gaya ye kaun
bas ik nazar se hī tasvīr kar gayā ye kaun
mire vajūd ko zanjīr kar gayā ye kaun
kitāb-e-zīst pe maiñ thā bujhā huā ik harf
sunahre rang meñ tahrīr kar gayā ye kaun
hai mere jism meñ ab tak vo lams kī ḳhushbū
zamīn-e-dasht ko tasḳhīr kar gayā ye kaun
har ek kūcha hai sākit har ik saḌak vīrān
hamāre shahr meñ taqrīr kar gayā ye kaun
jise bhī dekhiye hairat-zada sā lagtā hai
ki shahryār ko rah-gīr kar gayā ye kaun
abhī to in kī sharārat ke din the ai 'shahzād'
abhī se bachchoñ ko gambhīr kar gayā ye kaun
bas ek nazar se hi taswir kar gaya ye kaun
mere wajud ko zanjir kar gaya ye kaun
kitab-e-zist pe main tha bujha hua ek harf
sunahre rang mein tahrir kar gaya ye kaun
hai mere jism mein ab tak wo lams ki KHushbu
zamin-e-dasht ko tasKHir kar gaya ye kaun
har ek kucha hai sakit har ek saDak viran
hamare shahr mein taqrir kar gaya ye kaun
jise bhi dekhiye hairat-zada sa lagta hai
ki shahryar ko rah-gir kar gaya ye kaun
abhi to in ki shararat ke din the ai 'shahzad'
abhi se bachchon ko gambhir kar gaya ye kaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.