bas isi baat ki KHushi hai abhi
bas isī baat kī ḳhushī hai abhī
ḳhair vo mujh ko chāhtī hai abhī
duur hai jism kā abhī dariyā
sāmne 'ishq kī nadī hai abhī
vasl kā scene kaT gayā lekin
hijr kī film chal rahī hai abhī
vaqt aaya nahīñ kabhī achchhā
par mire haath meñ ghaḌī hai abhī
ḳhud-kushī kā maiñ sochtā hī nahīñ
zindagī jab bahut paḌī hai abhī
bas isi baat ki KHushi hai abhi
KHair wo mujh ko chahti hai abhi
dur hai jism ka abhi dariya
samne 'ishq ki nadi hai abhi
wasl ka scene kaT gaya lekin
hijr ki film chal rahi hai abhi
waqt aaya nahin kabhi achchha
par mere hath mein ghaDi hai abhi
KHud-kushi ka main sochta hi nahin
zindagi jab bahut paDi hai abhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.