bas isi had tak jahan-e-rang-o-bu achchha laga
bas isī had tak jahān-e-rang-o-bū achchhā lagā
ik javān-e-sarv-qad ik ḳhūb-rū achchhā lagā
zāhidoñ kī ruuh meñ jab jhāñk kar dekhā to phir
ḳhirqa-o-sajjāda se apnā subū achchhā lagā
guftugū meñ sard-mehrī aañkh meñ lutf-o-karam
us kā ye andāz mere rū-ba-rū achchhā lagā
jab nazar Daalī kitāb-e-zindagī par ġhaur se
is meñ bas ik lamha-e-teġh-o-gulū achchhā lagā
apnī fitrat meñ hai darveshī so ham ko mai-kasho
sāġhar-e-jamshed se apnā kadū achchhā lagā
kyā kare apnī tabī.at kī koī uftād ko
dosto vo dushman-e-jāñ vo adū achchhā lagā
jāñ-nisāroñ kī kamī koī na thī 'jābir' yahāñ
teġh-e-qātil ko magar merā lahū achchhā lagā
bas isi had tak jahan-e-rang-o-bu achchha laga
ek jawan-e-sarw-qad ek KHub-ru achchha laga
zahidon ki ruh mein jab jhank kar dekha to phir
KHirqa-o-sajjada se apna subu achchha laga
guftugu mein sard-mehri aankh mein lutf-o-karam
us ka ye andaz mere ru-ba-ru achchha laga
jab nazar Dali kitab-e-zindagi par ghaur se
is mein bas ek lamha-e-tegh-o-gulu achchha laga
apni fitrat mein hai darweshi so hum ko mai-kasho
saghar-e-jamshed se apna kadu achchha laga
kya kare apni tabiat ki koi uftad ko
dosto wo dushman-e-jaan wo adu achchha laga
jaan-nisaron ki kami koi na thi 'jabir' yahan
tegh-e-qatil ko magar mera lahu achchha laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.