bas-ki didar tera jalwa-e-quddusi hai
bas-ki dīdār tirā jalva-e-quddūsī hai
dāman-e-vasl bhī ālūda-e-māyūsī hai
hai kahāñ bū-e-vafā us dahan-e-shīrīñ meñ
ġhuncha-lab terī zabāñ ham ne bahut chūsī hai
yaar go ḳhuun mirā misl-e-hinā ho pāmāl
lekin apne ta.iiñ manzūr qadam-bosī hai
dil mirā ḳhaak shagufta ho chaman meñ jā kar
gul meñ ye rang kahāñ ek tirī bū sī hai
ek din zulf ke muñh par na chaḌhī ye kāfir
yād-e-kākul ko faqat sheva-e-jāsūsī hai
vo sajī teġh ki dam meñ kare lākhoñ ko qatl
kaun kahtā hai miyāñ terī kamar mū sī hai
shaiḳh rotā hai ise sun ke brahman yaksū
pur-asar bas ki mirā nālā-e-nāqūsī hai
chashm-e-namnāk ne az bas-ki bujhāyā us ko
ātish-e-'ishq kahāñ dil meñ magar lū sī hai
ai 'fuġhāñ' ishq kahāñ dil meñ ba-qaul-e-'minnat'
haañ ye sach milne kī ḳhūbāñ se to ik ḳhū sī hai
bas-ki didar tera jalwa-e-quddusi hai
daman-e-wasl bhi aaluda-e-mayusi hai
hai kahan bu-e-wafa us dahan-e-shirin mein
ghuncha-lab teri zaban hum ne bahut chusi hai
yar go KHun mera misl-e-hina ho pamal
lekin apne tain manzur qadam-bosi hai
dil mera KHak shagufta ho chaman mein ja kar
gul mein ye rang kahan ek teri bu si hai
ek din zulf ke munh par na chaDhi ye kafir
yaad-e-kakul ko faqat shewa-e-jasusi hai
wo saji tegh ki dam mein kare lakhon ko qatl
kaun kahta hai miyan teri kamar mu si hai
shaiKH rota hai ise sun ke brahman yaksu
pur-asar bas ki mera nala-e-naqusi hai
chashm-e-namnak ne az bas-ki bujhaya us ko
aatish-e-'ishq kahan dil mein magar lu si hai
ai 'fughan' ishq kahan dil mein ba-qaul-e-'minnat'
han ye sach milne ki KHuban se to ek KHu si hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.