aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bas-ki dushwar hai har kaam ka aasan hona

Mirza Ghalib

bas-ki dushwar hai har kaam ka aasan hona

Mirza Ghalib

MORE BYMirza Ghalib

    bas-ki dushvār hai har kaam āsāñ honā

    aadmī ko bhī muyassar nahīñ insāñ honā

    Tis difficult that every goal be easily complete

    For a man, too, to be human, is no easy feat

    girya chāhe hai ḳharābī mire kāshāne

    dar o dīvār se Tapke hai bayābāñ honā

    My tears seek destruction of my humble abode

    My hearth and home relentlessly does wilderness erode

    vā.e-dīvāngī-e-shauq ki har dam mujh ko

    aap jaanā udhar aur aap hairāñ honā

    Such is desire's lunacy, I constantly repair

    To her street, even tho it leads me to despair

    jalva az-bas-ki taqāzā-e-nigah kartā hai

    jauhar-e-ā.ina bhī chāhe hai mizhgāñ honā

    Beauty does yet seek behold the favour of a glance

    The lustre of the mirror seeks to be a lash perchance

    ishrat-e-qatl-gah-e-ahl-e-tamannā mat pūchh

    īd-e-nazzāra hai shamshīr uryāñ honā

    Ask not the delight of those for martyrdom who wait

    Unsheathing of the sword for them is cause to celebrate

    le ga.e ḳhaak meñ ham dāġh-e-tamannā-e-nashāt

    ho aur aap ba-sad-rañg-e-gulistāñ honā

    With me into dust I took the scars of hopes forlorn

    Now in your splendour joyously the garden you adorn

    ishrat-e-pāra-e-dil zaḳhm-e-tamannā khānā

    lazzat-e-rīsh-e-jigar ġharq-e-namak-dāñ honā

    When the heart is wounded does its ecstacy exalt

    Fortitude is filled with joy when wounds are dipped in salt

    mire qatl ke baa'd us ne jafā se tauba

    haa.e us zūd-pashemāñ pashemāñ honā

    After she had slain me then from torture she forswore

    Alas! the one now quickly shamed was not so before

    haif us chaar girah kapḌe qismat 'ġhālib'

    jis qismat meñ ho āshiq garebāñ honā

    Ghalib alas! That piece of cloth for whom destiny

    Has ordained a fate that it, a lover's collar be

    bas-ki dushwar hai har kaam ka aasan hona

    aadmi ko bhi muyassar nahin insan hona

    Tis difficult that every goal be easily complete

    For a man, too, to be human, is no easy feat

    girya chahe hai KHarabi mere kashane ki

    dar o diwar se Tapke hai bayaban hona

    My tears seek destruction of my humble abode

    My hearth and home relentlessly does wilderness erode

    wae-diwangi-e-shauq ki har dam mujh ko

    aap jaana udhar aur aap hi hairan hona

    Such is desire's lunacy, I constantly repair

    To her street, even tho it leads me to despair

    jalwa az-bas-ki taqaza-e-nigah karta hai

    jauhar-e-aina bhi chahe hai mizhgan hona

    Beauty does yet seek behold the favour of a glance

    The lustre of the mirror seeks to be a lash perchance

    ishrat-e-qatl-gah-e-ahl-e-tamanna mat puchh

    id-e-nazzara hai shamshir ka uryan hona

    Ask not the delight of those for martyrdom who wait

    Unsheathing of the sword for them is cause to celebrate

    le gae KHak mein hum dagh-e-tamanna-e-nashat

    tu ho aur aap ba-sad-rang-e-gulistan hona

    With me into dust I took the scars of hopes forlorn

    Now in your splendour joyously the garden you adorn

    ishrat-e-para-e-dil zaKHm-e-tamanna khana

    lazzat-e-rish-e-jigar gharq-e-namak-dan hona

    When the heart is wounded does its ecstacy exalt

    Fortitude is filled with joy when wounds are dipped in salt

    ki mere qatl ke ba'd us ne jafa se tauba

    hae us zud-pasheman ka pasheman hona

    After she had slain me then from torture she forswore

    Alas! the one now quickly shamed was not so before

    haif us chaar girah kapDe ki qismat 'ghaalib'

    jis ki qismat mein ho aashiq ka gareban hona

    Ghalib alas! That piece of cloth for whom destiny

    Has ordained a fate that it, a lover's collar be

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Unknown

    Unknown

    Mohammad Rafi

    Mohammad Rafi

    Shumona Roy Biswas

    Shumona Roy Biswas

    RECITATIONS

    Shamsur Rahman Faruqi

    Shamsur Rahman Faruqi,

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Shamsur Rahman Faruqi

    bas-ki dushwar hai har kaam ka aasan hona Shamsur Rahman Faruqi

    Nomaan Shauque

    bas-ki dushwar hai har kaam ka aasan hona Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now