bas najat-e-zindagi to ishq-e-ruhani mein hai
bas najāt-e-zindagī to ishq-e-rūhānī meñ hai
ye sazā-e-maut sun kar jism hairānī meñ hai
ret par phailā huā hai ḳhvāb jaisā ik sarāb
ḳhushk āñkhoñ kā sukūñ sahrā ke is paanī meñ hai
iztirābī kaifiyat hī is zamīñ kā hai nasīb
har ghaḌī gardish meñ hai har dam pareshānī meñ hai
kuchh ġhubār āñkhoñ tak aayā raaz ham par tab khulā
qāfila ab bhī koī is dil kī vīrānī meñ hai
phir kisī tūfān kī aamad kā andesha huā
phir qayāmat sī bapā dariyā kī tuġhyānī meñ hai
yūñhī āsānī se jiine kā irāda kar liyā
ye na dekhā kitnī mushkil aisī āsānī meñ hai
is qadar aurāq-e-māzī par chaḌhā gard-o-ġhubār
shāyad ab in kī jagah bahte hue paanī meñ hai
apnī miTTī se 'alīnā' ruuh kī ulfat to dekh
muztarib hai ye bahut gar tū pareshānī meñ hai
bas najat-e-zindagi to ishq-e-ruhani mein hai
ye saza-e-maut sun kar jism hairani mein hai
ret par phaila hua hai KHwab jaisa ek sarab
KHushk aankhon ka sukun sahra ke is pani mein hai
iztirabi kaifiyat hi is zamin ka hai nasib
har ghaDi gardish mein hai har dam pareshani mein hai
kuchh ghubar aankhon tak aaya raaz hum par tab khula
qafila ab bhi koi is dil ki virani mein hai
phir kisi tufan ki aamad ka andesha hua
phir qayamat si bapa dariya ki tughyani mein hai
yunhi aasani se jine ka irada kar liya
ye na dekha kitni mushkil aisi aasani mein hai
is qadar auraq-e-mazi par chaDha gard-o-ghubar
shayad ab in ki jagah bahte hue pani mein hai
apni miTTi se 'alina' ruh ki ulfat to dekh
muztarib hai ye bahut gar tu pareshani mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.