bas tera intizar rahta hai
bas tirā intizār rahtā hai
dil baḌā be-qarār rahtā hai
rāhateñ kuchh to baḳhsh de mujh ko
in dinoñ dil pe baar rahtā hai
iltijā hai ki ab ināyat ho
dard rag rag meñ yaar rahtā hai
vo jo nazroñ se tum chalāte ho
tiir vo ār-pār rahtā hai
'saif' kahte ho chain tum jis ko
vo to dariyā ke paar rahtā hai
bas tera intizar rahta hai
dil baDa be-qarar rahta hai
rahaten kuchh to baKHsh de mujh ko
in dinon dil pe bar rahta hai
iltija hai ki ab inayat ho
dard rag rag mein yar rahta hai
wo jo nazron se tum chalate ho
tir wo aar-par rahta hai
'saif' kahte ho chain tum jis ko
wo to dariya ke par rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.