bas tumhaara makan dikhai diya
bas tumhārā makāñ dikhā.ī diyā
jis meñ saarā jahāñ dikhā.ī diyā
vo vahīñ thā jahāñ dikhā.ī diyā
ishq meñ ye kahāñ dikhā.ī diyā
umr bhar par nahīñ mile ham ko
umr bhar āsmāñ dikhā.ī diyā
roz dīda-varoñ se kahtā huuñ
tū kahāñ thā kahāñ dikhā.ī diyā
achchhe-ḳhāse qafas meñ rahte the
jaane kyuuñ āsmāñ dikhā.ī diyā
bas tumhaara makan dikhai diya
jis mein sara jahan dikhai diya
wo wahin tha jahan dikhai diya
ishq mein ye kahan dikhai diya
umr bhar par nahin mile hum ko
umr bhar aasman dikhai diya
roz dida-waron se kahta hun
tu kahan tha kahan dikhai diya
achchhe-KHase qafas mein rahte the
jaane kyun aasman dikhai diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.