bas wahi log dil ko bhate hain
bas vahī log dil ko bhāte haiñ
jo ki chain-o-sukūñ churāte haiñ
mushkiloñ meñ bhī muskurāte haiñ
ham na aañsū kabhī bahāte haiñ
un se apne bahut se naate haiñ
aaj jo uñgliyāñ uThāte haiñ
vo bhī chalte haiñ mere raste par
jo ki bāteñ baḌī banāte haiñ
yaad aatī hai un kī chupke se
aañkh meñ taare jhilmilāte haiñ
ye hī apnī aziim ḳhūbī hai
qaul ko apne ham nibhāte haiñ
milne aate haiñ vo 'shagufta' se
haañ magar kaam hī se aate haiñ
bas wahi log dil ko bhate hain
jo ki chain-o-sukun churaate hain
mushkilon mein bhi muskuraate hain
hum na aansu kabhi bahate hain
un se apne bahut se nate hain
aaj jo ungliyan uThate hain
wo bhi chalte hain mere raste par
jo ki baaten baDi banate hain
yaad aati hai un ki chupke se
aankh mein tare jhilmilate hain
ye hi apni azim KHubi hai
qaul ko apne hum nibhate hain
milne aate hain wo 'shagufta' se
han magar kaam hi se aate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.