bas yahi kuchh hai martaba mere pas
bas yahī kuchh hai martaba mire paas
ek tū hai aur ik du'ā mire paas
tujhe kuchh vaqt chāhiye mirī jaan
vaqt hī to nahīñ bachā mire paas
raushnī hifz ho chukī hai mujhe
rakh gayā thā koī diyā mire paas
ye tirī guftugū kā lamha hai
is ghaḌī hai mirā ḳhudā mire paas
Tahniyāñ jhuk rahī thiiñ tere liye
aur phal TuuT ke girā mire paas
ek rūmāl āñsuoñ se bharā
aur ik ḳhat jalā huā mire paas
terā nemul-badal nahīñ koī
tū faqat ek hī to thā mire paas
ab maiñ jhagḌā karūñ to kis se karūñ
ab to tū bhī nahīñ rahā mire paas
bas yahi kuchh hai martaba mere pas
ek tu hai aur ek du'a mere pas
tujhe kuchh waqt chahiye meri jaan
waqt hi to nahin bacha mere pas
raushni hifz ho chuki hai mujhe
rakh gaya tha koi diya mere pas
ye teri guftugu ka lamha hai
is ghaDi hai mera KHuda mere pas
Tahniyan jhuk rahi thin tere liye
aur phal TuT ke gira mere pas
ek rumal aansuon se bhara
aur ek KHat jala hua mere pas
tera nemul-badal nahin koi
tu faqat ek hi to tha mere pas
ab main jhagDa karun to kis se karun
ab to tu bhi nahin raha mere pas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.