bas yahi soch ke rahta hun main zinda is mein
bas yahī soch ke rahtā huuñ maiñ zinda is meñ
ye mohabbat hai koī mar nahīñ saktā is meñ
ye bhī darvāza hai is ghar meñ ise kholeñ to
raat khul jaatī hai khultā nahīñ kamra is meñ
phuul to phuul maiñ pattī bhī nahīñ toḌūñgā
tujh se sābit hī na hogā mirā honā is meñ
tū ne do shaḳhs utāre the ye maiñ jāntā huuñ
maiñ ne bhī sher kahe haiñ bahut aalā is meñ
āḳhirī ishq ke āġhāz pe dam toḌtā huuñ
maiñ koī dam-damā-dam-dam nahīñ kartā is meñ
bas yahi soch ke rahta hun main zinda is mein
ye mohabbat hai koi mar nahin sakta is mein
ye bhi darwaza hai is ghar mein ise kholen to
raat khul jati hai khulta nahin kamra is mein
phul to phul main patti bhi nahin toDunga
tujh se sabit hi na hoga mera hona is mein
tu ne do shaKHs utare the ye main jaanta hun
main ne bhi sher kahe hain bahut aala is mein
aaKHiri ishq ke aaghaz pe dam toDta hun
main koi dam-dama-dam-dam nahin karta is mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.