basaen kitni bhi hum bastiyan KHalaon mein
basā.eñ kitnī bhī ham bastiyāñ ḳhalāoñ meñ
uThe haiñ ḳhaak se rahnā to hai sarāboñ meñ
hameñ na bor karo sāhab-e-adā kah kar
rahe haiñ ham to hamesha hī kaj-adāoñ meñ
na dhuup mujh ko gavāra na chāñd kī ḳhushbū
mirā vajūd bikhartā na yuuñ havāoñ meñ
dikhā.ī mujh ko diyā thā vo chāñd sā chehra
sitāra āñkheñ magar kho ga.iiñ kitāboñ meñ
vo laḳht-laḳht to utrā thā ḳhuun meñ 'īraj'
maiñ us kī khoj meñ huuñ apne ham-navāoñ meñ
basaen kitni bhi hum bastiyan KHalaon mein
uThe hain KHak se rahna to hai sarabon mein
hamein na bor karo sahab-e-ada kah kar
rahe hain hum to hamesha hi kaj-adaon mein
na dhup mujh ko gawara na chand ki KHushbu
mera wajud bikharta na yun hawaon mein
dikhai mujh ko diya tha wo chand sa chehra
sitara aankhen magar kho gain kitabon mein
wo laKHt-laKHt to utra tha KHun mein 'iraj'
main us ki khoj mein hun apne ham-nawaon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.