basaraton ko rah-e-shauq mein ganwa dekha
basāratoñ ko rah-e-shauq meñ gañvā dekhā
tujhe na dekhā magar haañ ye hādisa dekhā
vajūd sauñp ke sab kuchh bachā liyā ham ne
na aañkh meñ koī aañsū na sāneha dekhā
kitāb-e-zīst bhī apnī nahīñ rahī ki yahāñ
har ik varaq pe nayā ek hāshiya dekhā
ḳhilāf-e-mauj samundar-shanās bah nikle
maiñ jis taraf gayā tūfān hī uThā dekhā
basaraton ko rah-e-shauq mein ganwa dekha
tujhe na dekha magar han ye hadisa dekha
wajud saunp ke sab kuchh bacha liya hum ne
na aankh mein koi aansu na saneha dekha
kitab-e-zist bhi apni nahin rahi ki yahan
har ek waraq pe naya ek hashiya dekha
KHilaf-e-mauj samundar-shanas bah nikle
main jis taraf gaya tufan hi uTha dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.