basar gar yun hi ho to kya faeda hai
basar gar yuuñ hī ho to kyā fā.eda hai
yahī zindagī ho to kyā fā.eda hai
idhar mere ghar meñ nahīñ koī khiḌkī
udhar chāñdnī ho to kyā fā.eda hai
ayaañ hai nazar se tirī chor dil kā
zabāñ qand sī ho to kyā fā.eda hai
muravvat meñ koī kahāñ tak nibhā.e
ki jaañ par banī ho to to kyā fā.eda hai
basar gar yun hi ho to kya faeda hai
yahi zindagi ho to kya faeda hai
idhar mere ghar mein nahin koi khiDki
udhar chandni ho to kya faeda hai
ayan hai nazar se teri chor dil ka
zaban qand si ho to kya faeda hai
murawwat mein koi kahan tak nibhae
ki jaan par bani ho to to kya faeda hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.