basar ham 'ajab zindagī kar rahe haiñ
kabhī jī rahe haiñ kabhī mar rahe haiñ
ye naale ye aa.heñ jo ham bhar rahe haiñ
unheñ rū-shanās-e-sitam kar rahe haiñ
ḳhudā kī qasam bas ham hī jānte haiñ
mohabbat kī duniyā meñ kyūñkar rahe haiñ
na hañs kar hī guzrī na ro kar hī ham se
'ajab haal meñ zindagī-bhar rahe haiñ
ta'ajjub na kar ġham na khā qalb-e-ġhamgīñ
hamesha yahī un ke tevar rahe haiñ
na barseñ bhalā kis liye ḳhuuñ ke aañsū
ki mamnūn-e-dil dīda-e-tar rahe haiñ
koī raaz phir aaj hai khulne vaalā
vo phir merī ulfat kā dam bhar rahe haiñ
jafā.eñ karo shauq se tum jafā kī
shikāyat hī ham tum se kab kar rahe haiñ
shab-o-roz ro ro ke 'bahzād' giryāñ
tabī'at ko mānūs-e-ġham kar rahe haiñ
basar hum 'ajab zindagi kar rahe hain
kabhi ji rahe hain kabhi mar rahe hain
ye nale ye aahen jo hum bhar rahe hain
unhen ru-shanas-e-sitam kar rahe hain
KHuda ki qasam bas hum hi jaante hain
mohabbat ki duniya mein kyunkar rahe hain
na hans kar hi guzri na ro kar hi hum se
'ajab haal mein zindagi-bhar rahe hain
ta'ajjub na kar gham na kha qalb-e-ghamgin
hamesha yahi un ke tewar rahe hain
na barsen bhala kis liye KHun ke aansu
ki mamnun-e-dil dida-e-tar rahe hain
koi raaz phir aaj hai khulne wala
wo phir meri ulfat ka dam bhar rahe hain
jafaen karo shauq se tum jafa ki
shikayat hi hum tum se kab kar rahe hain
shab-o-roz ro ro ke 'bahzad' giryan
tabi'at ko manus-e-gham kar rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.