bashar roz-e-azal se shefta hai shan-o-shaukat ka
bashar roz-e-azal se shefta hai shān-o-shaukat kā
anāsir ke muraqqe meñ bharā hai naqsh daulat kā
azal ke din se ġham mushtāq thā jo merī ḳhilqat kā
banāyā āñsuoñ se gūñdh kar putlā kudūrat kā
muqaddar ne diyā hai haath meñ kaasa halākat kā
gadā huuñ us parī-paikar kā jo TukḌā hai aafat kā
rahe sīna-sipar har-dam ye jauhar hai mohabbat kā
kabhī lohā na maanā yaar kī teġh-e-adāvat
dikhāyā us ne ban-Than kar vo jalva apnī sūrat kā
ki paanī phir gayā ā.īne par dariyā-e-hairat kā
ḳhudā ābād rakkhe lucknow ke ḳhush-mizājoñ ko
har ik ghar ḳhāna-e-shādī hai har kūcha hai ishrat kā
shab-e-vaslat to jaate jaate andhā kar ga.ī mujh ko
tum ab bahrā karo sāhab sunā kar naam ruḳhsat kā
mare jis par na chaar aañsū bahā.e us ne murde par
huā sābit ki paanī bah gayā chashm-e-muravvat kā
jalā.e dost yā ThanDā kare dil jo razā us kī
na dozaḳh se mujhe nafrat na maiñ mushtāq jannat kā
na hogā farq nuqte kā milā kar dekh le koī
mire āmāl-nāme se navishta merī qismat kā
jo shāmil hai karam us kā to kyā ġham kisht-e-uqbā kā
siyah-nāmī se apne kaam lūñgā abr-e-rahmat kā
ḳhudā ne dī hai lazzat ġham-ḳhurī kī ḳhush-mazāqoñ ko
lahū kī ghūñT piine meñ mazā miltā hai sharbat kā
har ik tasvīr hai sānī-e-yūsuf apne aalam meñ
zarā yāqūb dekhe to muraqqa.a us kī qudrat kā
yad-e-baizā ke daste aage aage le chale muusā
shab-e-me.arāj ko raushan huā haal us kī azmat kā
ziyāda chāñd sūraj se tirā nuur āshkārā hai
na dekheñ terā jalva ham qusūr apnī basārat kā
vo aalam hai na ġham se ġham na shādī se mujhe shādī
barābar mere mīzāñ meñ hai palla rañj-o-rāhat kā
tumhārī fitna-e-qāmat ne aisā ro.ab bāñdhā hai
qadam-bhar bhī qadam aa ke nahīñ baḌhtā qayāmat kā
shahīdān-e-ḳhudā mujh ko bhī thoḌī se jagah denā
na ho barbād merī ḳhaak sadqa apnī turbat kā
shab-e-vasl-e-sanam kā ḳhātma bil-ḳhair ho yārab
na āñkhoñ par kahīñ phir jaa.e chūnā sub.h-e-furqat kā
halāvat zindagī kī hai mulāqāt-e-ahibbā meñ
mazā murde ko tanhā.ī kā hai zinde ko sohbat kā
mazā ishq-e-haqīqī meñ na kuchh ishq-e-majāzī meñ
ḳhudā se ġham duī kā hai sanam se rañj furqat kā
chhurī nā-qadrdānoñ kī ravāñ hai ahl-e-jauhar par
kafan ko yaad karnā 'bahr' dhyān aa.e jo ḳhilqat kā
bashar roz-e-azal se shefta hai shan-o-shaukat ka
anasir ke muraqqe mein bhara hai naqsh daulat ka
azal ke din se gham mushtaq tha jo meri KHilqat ka
banaya aansuon se gundh kar putla kudurat ka
muqaddar ne diya hai hath mein kasa halakat ka
gada hun us pari-paikar ka jo TukDa hai aafat ka
rahe sina-sipar har-dam ye jauhar hai mohabbat ka
kabhi loha na mana yar ki tegh-e-adawat
dikhaya us ne ban-Than kar wo jalwa apni surat ka
ki pani phir gaya aaine par dariya-e-hairat ka
KHuda aabaad rakkhe lucknow ke KHush-mizajon ko
har ek ghar KHana-e-shadi hai har kucha hai ishrat ka
shab-e-waslat to jate jate andha kar gai mujh ko
tum ab bahra karo sahab suna kar nam ruKHsat ka
mare jis par na chaar aansu bahae us ne murde par
hua sabit ki pani bah gaya chashm-e-murawwat ka
jalae dost ya ThanDa kare dil jo raza us ki
na dozaKH se mujhe nafrat na main mushtaq jannat ka
na hoga farq nuqte ka mila kar dekh le koi
mere aamal-name se nawishta meri qismat ka
jo shamil hai karam us ka to kya gham kisht-e-uqba ka
siyah-nami se apne kaam lunga abr-e-rahmat ka
KHuda ne di hai lazzat gham-KHuri ki KHush-mazaqon ko
lahu ki ghunT pine mein maza milta hai sharbat ka
har ek taswir hai sani-e-yusuf apne aalam mein
zara yaqub dekhe to muraqqa us ki qudrat ka
yad-e-baiza ke daste aage aage le chale musa
shab-e-mearaj ko raushan hua haal us ki azmat ka
ziyaada chand suraj se tera nur aashkara hai
na dekhen tera jalwa hum qusur apni basarat ka
wo aalam hai na gham se gham na shadi se mujhe shadi
barabar mere mizan mein hai palla ranj-o-rahat ka
tumhaari fitna-e-qamat ne aisa roab bandha hai
qadam-bhar bhi qadam aa ke nahin baDhta qayamat ka
shahidan-e-KHuda mujh ko bhi thoDi se jagah dena
na ho barbaad meri KHak sadqa apni turbat ka
shab-e-wasl-e-sanam ka KHatma bil-KHair ho yarab
na aankhon par kahin phir jae chuna subh-e-furqat ka
halawat zindagi ki hai mulaqat-e-ahibba mein
maza murde ko tanhai ka hai zinde ko sohbat ka
maza ishq-e-haqiqi mein na kuchh ishq-e-majazi mein
KHuda se gham dui ka hai sanam se ranj furqat ka
chhuri na-qadrdanon ki rawan hai ahl-e-jauhar par
kafan ko yaad karna 'bahr' dhyan aae jo KHilqat ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.