bastiyan chup jo huin bin bole
bastiyāñ chup jo huiiñ bin bole
shahr-e-ḳhāmosh meñ madfan bole
bāġhbānī kā hai sab ko da.ave
aa gayā vaqt ki gulshan bole
nok-e-ḳhanjar pe sadā tultī hai
ab agar bol sake fan bole
dil pe haiñ naqsh vo terī bāteñ
jab zabāñ guñg huī tan bole
koī pairāya-e-iz.hār to ho
chup haiñ alfāz to dhaḌkan bole
bastiyan chup jo huin bin bole
shahr-e-KHamosh mein madfan bole
baghbani ka hai sab ko dawe
aa gaya waqt ki gulshan bole
nok-e-KHanjar pe sada tulti hai
ab agar bol sake fan bole
dil pe hain naqsh wo teri baaten
jab zaban gung hui tan bole
koi pairaya-e-izhaar to ho
chup hain alfaz to dhaDkan bole
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.