bastiyan DhunDh rahi hain unhen viranon mein
bastiyāñ DhūñDh rahī haiñ unheñ vīrānoñ meñ
vahshateñ baḌh ga.iiñ had se tire dīvānoñ meñ
nigah-e-nāz na dīvānoñ na farzānoñ meñ
jānkār ek vahī hai magar an-jānoñ meñ
bazm-e-mai be-ḳhud-o-be-tāb na kyuuñ ho saaqī
mauj-e-bāda hai ki dard uThtā hai paimānoñ meñ
maiñ to maiñ chauñk uThī hai ye fazā-e-ḳhāmosh
ye sadā kab kī sunī aatī hai phir kānoñ meñ
sair kar ujḌe diloñ kī jo tabī.at hai udaas
jī bahal jaate haiñ aksar inhīñ vīrānoñ meñ
vus.ateñ bhī haiñ nihāñ tañgi-e-dil meñ ġhāfil
jī bahal jaate haiñ aksar inhīñ maidānoñ meñ
jaan īmān-e-junūñ silsila jumbān-e-junūñ
kuchh kashish-hā-e-nihāñ jazb haiñ vīrānoñ meñ
ḳhanda-e-sub.h-e-azal tīrgī-e-shām-e-abad
donoñ aalam haiñ chhalakte hue paimānoñ meñ
dekh jab ālam-e-hū ko to nayā aalam hai
bastiyāñ bhī nazar aane lagīñ vīrānoñ meñ
jis jagah baiTh ga.e aag lagā kar uTThe
garmiyāñ haiñ kuchh abhī soḳhta-sāmānoñ meñ
vahshateñ bhī nazar aatī haiñ sar-e-parda-e-nāz
dāmanoñ meñ hai ye aalam na garebānoñ meñ
ek rañgīnī-e-zāhir hai gulistāñ meñ agar
ek shādābī-e-pinhāñ hai bayābānoñ meñ
jauhar-e-ġhuncha-o-gul meñ hai ik andāz-e-junūñ
kuchh bayābāñ nazar aa.e haiñ garebānoñ meñ
ab vo rañg-e-chaman-o-ḳhanda-e-gul bhī na rahe
ab vo āsār-e-junūñ bhī nahīñ dīvānoñ meñ
ab vo saaqī kī bhī āñkheñ na rahīñ rindoñ meñ
ab vo sāġhar bhī chhalakte nahīñ mai-ḳhānoñ meñ
ab vo ik soz-e-nihānī bhī diloñ meñ na rahā
ab vo jalve bhī nahīñ ishq ke kāshānoñ meñ
ab na vo raat jab ummīdeñ bhī kuchh thiiñ tujh se
ab na vo baat ġham-e-hijr ke afsānoñ meñ
ab tirā kaam hai bas ahl-e-vafā kā paanā
ab tirā naam hai bas ishq ke ġham-ḳhānoñ meñ
tā-ba-kai vāda-e-mauhūm kī tafsīl 'firāq'
shab-e-furqat kahīñ kaTtī hai in afsānoñ meñ
bastiyan DhunDh rahi hain unhen viranon mein
wahshaten baDh gain had se tere diwanon mein
nigah-e-naz na diwanon na farzanon mein
jaankar ek wahi hai magar an-jaanon mein
bazm-e-mai be-KHud-o-be-tab na kyun ho saqi
mauj-e-baada hai ki dard uThta hai paimanon mein
main to main chaunk uThi hai ye faza-e-KHamosh
ye sada kab ki suni aati hai phir kanon mein
sair kar ujDe dilon ki jo tabiat hai udas
ji bahal jate hain aksar inhin viranon mein
wusaten bhi hain nihan tangi-e-dil mein ghafil
ji bahal jate hain aksar inhin maidanon mein
jaan iman-e-junun silsila jumban-e-junun
kuchh kashish-ha-e-nihan jazb hain viranon mein
KHanda-e-subh-e-azal tirgi-e-sham-e-abad
donon aalam hain chhalakte hue paimanon mein
dekh jab aalam-e-hu ko to naya aalam hai
bastiyan bhi nazar aane lagin viranon mein
jis jagah baiTh gae aag laga kar uTThe
garmiyan hain kuchh abhi soKHta-samanon mein
wahshaten bhi nazar aati hain sar-e-parda-e-naz
damanon mein hai ye aalam na garebanon mein
ek rangini-e-zahir hai gulistan mein agar
ek shadabi-e-pinhan hai bayabanon mein
jauhar-e-ghuncha-o-gul mein hai ek andaz-e-junun
kuchh bayaban nazar aae hain garebanon mein
ab wo rang-e-chaman-o-KHanda-e-gul bhi na rahe
ab wo aasar-e-junun bhi nahin diwanon mein
ab wo saqi ki bhi aankhen na rahin rindon mein
ab wo saghar bhi chhalakte nahin mai-KHanon mein
ab wo ek soz-e-nihani bhi dilon mein na raha
ab wo jalwe bhi nahin ishq ke kashanon mein
ab na wo raat jab ummiden bhi kuchh thin tujh se
ab na wo baat gham-e-hijr ke afsanon mein
ab tera kaam hai bas ahl-e-wafa ka pana
ab tera nam hai bas ishq ke gham-KHanon mein
ta-ba-kai wada-e-mauhum ki tafsil 'firaq'
shab-e-furqat kahin kaTti hai in afsanon mein
- Book : Gul-e-Naghma (Pg. 76)
- Author : Firaq Gorakhpuri
- Publication : Maktaba Farogh-e-urdu Matia Mahal Jama Masjid Delhi (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.