Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bastiyan ho gain benam-o-nishan raaton-raat

Khatir Ghaznavi

bastiyan ho gain benam-o-nishan raaton-raat

Khatir Ghaznavi

MORE BYKhatir Ghaznavi

    bastiyāñ ho ga.iiñ benām-o-nishāñ rātoñ-rāt

    aise tūfān bhī aa.e haiñ yahāñ rātoñ-rāt

    meñ aatā hai ki ta.abīr tujhī se pūchheñ

    ho gayā ḳhvāb tirā jism-e-javāñ rātoñ-rāt

    shaam hañgāma thā ḳhushiyāñ thiiñ hasīñ chehre the

    kho ga.ī mahfil-e-ahbāb kahāñ rātoñ-rāt

    husn jaltā rahā sham.oñ tapāñ ḳhalvat meñ

    ho ga.ī mash.al-e-mahtāb dhuāñ rātoñ-rāt

    ik jahāñgīr ḳhamoshī rajaz-ḳhvānī hai

    ho gayā kyā ye mire ghar samāñ rātoñ-rāt

    kaun in kaliyoñ qismat pe na ro.e 'ḳhātir'

    jin ko kar detī hai taqdīr javāñ rātoñ-rāt

    bastiyan ho gain benam-o-nishan raaton-raat

    aise tufan bhi aae hain yahan raaton-raat

    ji mein aata hai ki tabir tujhi se puchhen

    ho gaya KHwab tera jism-e-jawan raaton-raat

    sham hangama tha KHushiyan thin hasin chehre the

    kho gai mahfil-e-ahbab kahan raaton-raat

    husn jalta raha shamon ki tapan KHalwat mein

    ho gai mashal-e-mahtab dhuan raaton-raat

    ek jahangir KHamoshi ki rajaz-KHwani hai

    ho gaya kya ye mere ghar ka saman raaton-raat

    kaun in kaliyon ki qismat pe na roe 'KHatir'

    jin ko kar deti hai taqdir jawan raaton-raat

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now