bataen kya tumhein KHun-e-tamanna roz hota hai
batā.eñ kyā tumheñ ḳhūn-e-tamannā roz hotā hai
miyāñ chhalnī ġharīboñ kā kaleja roz hotā hai
kabhī kaliyoñ kī dil-sozī kabhī hai qatl phūloñ kā
tumhīñ batlāo is gulshan meñ ye kyā roz hotā hai
yahāñ muflis ujāle kī kiran ko bhī taraste haiñ
magar kahne ko bastī meñ ujālā roz hotā hai
ye kah do qā.idoñ se ab yahāñ zahmat na farmā.eñ
hamāre shahr meñ bedār fitna roz hotā hai
yahāñ nīlām ho jaatī hai izzat chand sikkoñ meñ
ye duniyā hai yahāñ aisā tamāshā roz hotā hai
agar 'darvesh' tum rusvā hue ho to ta.ajjub kyā
sharīfoñ kī havelī meñ to aisā roz hotā hai
bataen kya tumhein KHun-e-tamanna roz hota hai
miyan chhalni gharibon ka kaleja roz hota hai
kabhi kaliyon ki dil-sozi kabhi hai qatl phulon ka
tumhin batlao is gulshan mein ye kya roz hota hai
yahan muflis ujale ki kiran ko bhi taraste hain
magar kahne ko basti mein ujala roz hota hai
ye kah do qaidon se ab yahan zahmat na farmaen
hamare shahr mein bedar fitna roz hota hai
yahan nilam ho jati hai izzat chand sikkon mein
ye duniya hai yahan aisa tamasha roz hota hai
agar 'darwesh' tum ruswa hue ho to tajjub kya
sharifon ki haweli mein to aisa roz hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.