batao to tumhein kaisi lagi hai
batāo to tumheñ kaisī lagī hai
mire māthe pe jo biñdī lagī hai
sabhī shohde ikaTThā ho ga.e haiñ
yahāñ kyā husn kī manDī lagī hai
barahman-zād huuñ ye dhyān rakhnā
sunā hai phir koī achchhī lagī hai
yaqīñ kar lo mire hāthoñ meñ ab tak
tumhāre naam kī mehñdī lagī hai
batao to tumhein kaisi lagi hai
mere mathe pe jo bindi lagi hai
sabhi shohde ikaTTha ho gae hain
yahan kya husn ki manDi lagi hai
barahman-zad hun ye dhyan rakhna
suna hai phir koi achchhi lagi hai
yaqin kar lo mere hathon mein ab tak
tumhaare nam ki mehndi lagi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.