bataun kaise ki sach bolna zaruri hai
batā.ūñ kaise ki sach bolnā zarūrī hai
ta.alluqāt meñ ye tajraba zarūrī hai
nazar haTā bhī to saktī hai kam-nazar duniyā
vahīñ hai bhiiḌ jahāñ taḳhliya zarūrī hai
tire baġhair koī aur ishq ho kaise
ki mushrikoñ ke liye bhī ḳhudā zarūrī hai
nahīñ to shahr ye so jā.egā sadā ke liye
mujhe ḳhabar hai mirā bolnā zarūrī hai
kisī ko hotā nahīñ yuuñ mohabbatoñ kā yaqīñ
charāġh bujh ke batā.e havā zarūrī hai
maiñ ḳhud ko bhūltā jaatā huuñ aur aise meñ
tirā pukārte rahnā baḌā zarūrī hai
vo merī ruuh kī āvāz sun rahā hogā
badan rahe na rahe rābta zarūrī hai
bataun kaise ki sach bolna zaruri hai
talluqat mein ye tajraba zaruri hai
nazar haTa bhi to sakti hai kam-nazar duniya
wahin hai bhiD jahan taKHliya zaruri hai
tere baghair koi aur ishq ho kaise
ki mushrikon ke liye bhi KHuda zaruri hai
nahin to shahr ye so jaega sada ke liye
mujhe KHabar hai mera bolna zaruri hai
kisi ko hota nahin yun mohabbaton ka yaqin
charagh bujh ke batae hawa zaruri hai
main KHud ko bhulta jata hun aur aise mein
tera pukarte rahna baDa zaruri hai
wo meri ruh ki aawaz sun raha hoga
badan rahe na rahe rabta zaruri hai
- Book : Aakhiri Ishq Sabse Pahle Kiya (Pg. 53)
- Author : Nomaan Shauq
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.