bataun kya kisi se dil mein kya kya TuT jata hai
batā.ūñ kyā kisī se dil meñ kyā kyā TuuT jaatā hai
ki jab muflis ke bachche kā khilaunā TuuT jaatā hai
ye merī bad-nasībī hai batā.ūñ kis tarah tum ko
vo jab sapne meñ aate haiñ to sapnā TuuT jaatā hai
bahut hī muztarib rahtā hai vo har pal zamāne meñ
ki jis insāñ kā ulfat se bharosa TuuT jaatā hai
lagā.e laakh chehre par koī chehra magar sun le
bahut din tak nahīñ rahtā mukhauTā TuuT jaatā hai
zamīñ āvāz detī hai mohabbat se mujhe 'āqib'
to merā chāñd chhūne kā irāda TuuT jaatā hai
bataun kya kisi se dil mein kya kya TuT jata hai
ki jab muflis ke bachche ka khilauna TuT jata hai
ye meri bad-nasibi hai bataun kis tarah tum ko
wo jab sapne mein aate hain to sapna TuT jata hai
bahut hi muztarib rahta hai wo har pal zamane mein
ki jis insan ka ulfat se bharosa TuT jata hai
lagae lakh chehre par koi chehra magar sun le
bahut din tak nahin rahta mukhauTa TuT jata hai
zamin aawaz deti hai mohabbat se mujhe 'aqib'
to mera chand chhune ka irada TuT jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.