bayan qissa-e-bechaargi kiya jae
bayān qissa-e-bechārgī kiyā jaa.e
jo dil kī rah ga.ī dil meñ use kahā jaa.e
ye zindagī hai to phir maut kis ko kahte haiñ
na royā jaa.e hai mujh se na hī hañsā jaa.e
tire ḳhayāl kī āsūdgī ma.āz-allāh
ye jab bhī aa.e hai ik umr kā galā jaa.e
faqīh-e-shahr bhī bikne lage sar-e-bāzār
ġharīb-e-shahr kahāñ jaa.e aur kyā jaa.e
bayan qissa-e-bechaargi kiya jae
jo dil ki rah gai dil mein use kaha jae
ye zindagi hai to phir maut kis ko kahte hain
na roya jae hai mujh se na hi hansa jae
tere KHayal ki aasudgi maaz-allah
ye jab bhi aae hai ek umr ka gala jae
faqih-e-shahr bhi bikne lage sar-e-bazar
gharib-e-shahr kahan jae aur kya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.