bayaz-e-kohna mein jiddat bhari tahrir rakhni hai
bayāz-e-kohna meñ jiddat bharī tahrīr rakhnī hai
purānī niyām meñ ya.anī na.ī shamshīr rakhnī hai
fasīl-e-fikr se girtā huā misra.a uThānā hai
sirhāne ab mujhe har dam kitāb-e-'mīr' rakhnī hai
mujhe tā-umr ranj-e-qaid ko mahsūs karnā hai
mujhe tā-umr apne paas ye zanjīr rakhnī hai
sajāo ḳhvāb koī raat kī be-rañg āñkhoñ meñ
agar baaqī diloñ meñ ḳhvāhish-e-ta.abīr rakhnī hai
ḳhudī se be-ḳhudī kī jañg hai goyā mujhe is pal
muqābil apne hī apnī koī tasvīr rakhnī hai
hameñ apne lahū se dasht ik gulzār karnā hai
hameñ tā-hashr zinda azmat-e-takbīr rakhnī hai
use duniyā ke har ġham se mukammal paak to kar lo
agar is dil meñ buniyād-e-ġham-e-shabbīr rakhnī hai
bayaz-e-kohna mein jiddat bhari tahrir rakhni hai
purani niyam mein yani nai shamshir rakhni hai
fasil-e-fikr se girta hua misra uThana hai
sirhane ab mujhe har dam kitab-e-'mir' rakhni hai
mujhe ta-umr ranj-e-qaid ko mahsus karna hai
mujhe ta-umr apne pas ye zanjir rakhni hai
sajao KHwab koi raat ki be-rang aankhon mein
agar baqi dilon mein KHwahish-e-tabir rakhni hai
KHudi se be-KHudi ki jang hai goya mujhe is pal
muqabil apne hi apni koi taswir rakhni hai
hamein apne lahu se dasht ek gulzar karna hai
hamein ta-hashr zinda azmat-e-takbir rakhni hai
use duniya ke har gham se mukammal pak to kar lo
agar is dil mein buniyaad-e-gham-e-shabbir rakhni hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.