bazm-e-ahbab mein phaili jo suKHan ki KHushbu
bazm-e-ahbāb meñ phailī jo suḳhan kī ḳhushbū
mujh ko mahsūs huī mushk-e-ḳhutan kī ḳhushbū
mere ash.ār meñ hai gañg-o-jaman kī ḳhushbū
mujh ko lagtī hai bhalī arz-e-vatan kī ḳhushbū
bāġh-e-jannat ke bhī phūloñ meñ nahīñ ho saktī
aisī hotī hai shahīdoñ ke badan kī ḳhushbū
jo rivāyāt ke munkir haiñ ye kah do un se
merī tahzīb meñ hai ahd-e-kuhan kī ḳhushbū
mujh ko farsūda mazāmīn se nisbat hī nahīñ
merī ġhazloñ meñ hai pākīza chalan kī ḳhushbū
yuuñ to vābasta huuñ har shoba-e-hastī se 'kamāl'
mast rakhtī hai magar sher-o-suḳhan kī ḳhushbū
bazm-e-ahbab mein phaili jo suKHan ki KHushbu
mujh ko mahsus hui mushk-e-KHutan ki KHushbu
mere ashaar mein hai gang-o-jaman ki KHushbu
mujh ko lagti hai bhali arz-e-watan ki KHushbu
bagh-e-jannat ke bhi phulon mein nahin ho sakti
aisi hoti hai shahidon ke badan ki KHushbu
jo riwayat ke munkir hain ye kah do un se
meri tahzib mein hai ahd-e-kuhan ki KHushbu
mujh ko farsuda mazamin se nisbat hi nahin
meri ghazlon mein hai pakiza chalan ki KHushbu
yun to wabasta hun har shoba-e-hasti se 'kamal'
mast rakhti hai magar sher-o-suKHan ki KHushbu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.