bazm-e-anjum mein numayan na hue
bazm-e-anjum meñ numāyāñ na hue
ḳhāk-posh aaj jo 'uryāñ na hue
dair meñ sāhab-e-īmāñ hue ham
aap kā'be meñ musalmāñ na hue
ḳhud-kushī thī vo koī qatl nahīñ
dekho ham ḳhūn-ba-dāmāñ na hue
kyā huā hogā un ashkoñ kā ki jo
intiḳhāb-e-sar-e-mizhgāñ na hue
kuchh sabab hai ki ġhazal hotī nahīñ
aap ke gesū pareshāñ na hue
ham bhī 'asrār' junūñ jānte haiñ
bas kabhī chāk-garebāñ na hue
bazm-e-anjum mein numayan na hue
KHak-posh aaj jo 'uryan na hue
dair mein sahab-e-iman hue hum
aap ka'be mein musalman na hue
KHud-kushi thi wo koi qatl nahin
dekho hum KHun-ba-daman na hue
kya hua hoga un ashkon ka ki jo
intiKHab-e-sar-e-mizhgan na hue
kuchh sabab hai ki ghazal hoti nahin
aap ke gesu pareshan na hue
hum bhi 'asrar' junun jaante hain
bas kabhi chaak-gareban na hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.