bazm-e-dushman mein ja ke dekh liya
bazm-e-dushman meñ jā ke dekh liyā
le tujhe aazmā ke dekh liyā
tum ne mujh ko satā ke dekh liyā
har tarah aazmā ke dekh liyā
un ke dil kī kudūrateñ na miTīñ
apnī hastī miTā ke dekh liyā
kuchh nahīñ kuchh nahīñ mohabbat meñ
ḳhuub jī ko jalā ke dekh liyā
kuchh nahīñ juz ġhubār-e-kīn-o-inād
ham ne dil meñ samā ke dekh liyā
na mile vo kisī tarah na mile
ġhair ko bhī milā ke dekh liyā
kyā milā naala o fuġhāñ se 'zahīr'
hashr sar par uThā ke dekh liyā
bazm-e-dushman mein ja ke dekh liya
le tujhe aazma ke dekh liya
tum ne mujh ko sata ke dekh liya
har tarah aazma ke dekh liya
un ke dil ki kuduraten na miTin
apni hasti miTa ke dekh liya
kuchh nahin kuchh nahin mohabbat mein
KHub ji ko jala ke dekh liya
kuchh nahin juz ghubar-e-kin-o-inad
hum ne dil mein sama ke dekh liya
na mile wo kisi tarah na mile
ghair ko bhi mila ke dekh liya
kya mila nala o fughan se 'zahir'
hashr sar par uTha ke dekh liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.