bazm-e-hasti ki wo faza bhi nahin
bazm-e-hastī kī vo fazā bhī nahīñ
mutrib-e-vaqt ḳhush-navā bhī nahīñ
dil na dhaḌkā ḳhatā huī lekin
terī paa.el kī vo sadā bhī nahīñ
kitnī vīrān hai galī dil kī
duur tak koī naqsh-e-pā bhī nahīñ
kyā musībat hai tere dīvāne
qaid meñ bhī nahīñ rihā bhī nahīñ
vaj.h-e-ārā.ish-e-ḳham-e-kākul
ham nahīñ haiñ to aa.ina bhī nahīñ
ab to sunte haiñ un kī mahfil meñ
jāñ-nisāroñ kā tazkira bhī nahīñ
lutf to ḳhair lutf hai 'nāzim'
mujh pe us shoḳh kī jafā bhī nahīñ
bazm-e-hasti ki wo faza bhi nahin
mutrib-e-waqt KHush-nawa bhi nahin
dil na dhaDka KHata hui lekin
teri pael ki wo sada bhi nahin
kitni viran hai gali dil ki
dur tak koi naqsh-e-pa bhi nahin
kya musibat hai tere diwane
qaid mein bhi nahin riha bhi nahin
wajh-e-araish-e-KHam-e-kakul
hum nahin hain to aaina bhi nahin
ab to sunte hain un ki mahfil mein
jaan-nisaron ka tazkira bhi nahin
lutf to KHair lutf hai 'nazim'
mujh pe us shoKH ki jafa bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.