bazm se aaKHir-e-shab hai safar-e-jam-e-sharab
bazm se āḳhir-e-shab hai safar-e-jām-e-sharāb
shām-e-ġhurbat huī saaqī sahar-e-jām-e-sharāb
mast-o-sarshār ko sarshār sañbhāle kyā ḳhaak
na thamī dast-e-subū se kamar-e-jām-e-sharāb
kasrat-e-majma-e-aġhyār se mahrūm rahā
na huā bazm meñ mujh tak guzar-e-jām-e-sharāb
mohtasib degā javāb apne sitam kā tū kyā
kal jo kausar pe huā dād-gar-e-jām-e-sharāb
ye bhī ai mohtasib us laal parī kā hai asar
uḌ ke pahuñchī hai jo tujh tak ḳhabar-e-jām-e-sharāb
bazm-e-dushman meñ rahe aap to suufī ban kar
surḳh āñkhoñ meñ kahāñ hai asar-e-jām-e-sharāb
nahīñ mā'lūm ki ai 'dāġh' hai tū kis dhun meñ
na talāsh-e-but-e-mah-vash na sar-e-jām-e-sharāb
bazm se aaKHir-e-shab hai safar-e-jam-e-sharab
sham-e-ghurbat hui saqi sahar-e-jam-e-sharab
mast-o-sarshaar ko sarshaar sanbhaale kya KHak
na thami dast-e-subu se kamar-e-jam-e-sharab
kasrat-e-majma-e-aghyar se mahrum raha
na hua bazm mein mujh tak guzar-e-jam-e-sharab
mohtasib dega jawab apne sitam ka tu kya
kal jo kausar pe hua dad-gar-e-jam-e-sharab
ye bhi ai mohtasib us lal pari ka hai asar
uD ke pahunchi hai jo tujh tak KHabar-e-jam-e-sharab
bazm-e-dushman mein rahe aap to sufi ban kar
surKH aankhon mein kahan hai asar-e-jam-e-sharab
nahin ma'lum ki ai 'dagh' hai tu kis dhun mein
na talash-e-but-e-mah-wash na sar-e-jam-e-sharab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.