bazm se jab nigar uThta hai
bazm se jab nigār uThtā hai
mere dil se ġhubār uThtā hai
maiñ jo baiThā huuñ to vo ḳhush-qāmat
dekh lo baar baar uThtā hai
terī sūrat ko dekh kar mirī jaañ
ḳhud-baḳhud dil meñ pyaar uThtā hai
us kī gul-gasht se ravish-ba-ravish
rañg hī rañg yaar uThtā hai
tere jaate hī is ḳharābe se
shor-e-girya hazār uThtā hai
kaun hai jis ko jaañ 'azīz nahīñ
le tirā jāñ-nisār uThtā hai
saf-ba-saf aa khaḌe hue haiñ ġhazāl
dasht se ḳhāksār uThtā hai
hai ye tesha ki ek sho'la sā
bar-sar-e-kohsār uThtā hai
karb-e-tanhā.ī hai vo shai ki ḳhudā
aadmī ko pukār uThtā hai
tū ne phir kasb-e-zar kā zikr kiyā
kahīñ ham se ye baar uThtā hai
lo vo majbūr shahr-e-sahrā se
aaj dīvāna-vār uThtā hai
apne yaañ to zamāne vāloñ kā
roz hī e'tibār uThtā hai
'jaun' uThtā hai yuuñ kaho yā'nī
'mīr'-o-'ġhālib' kā yaar uThtā hai
bazm se jab nigar uThta hai
mere dil se ghubar uThta hai
main jo baiTha hun to wo KHush-qamat
dekh lo bar bar uThta hai
teri surat ko dekh kar meri jaan
KHud-baKHud dil mein pyar uThta hai
us ki gul-gasht se rawish-ba-rawish
rang hi rang yar uThta hai
tere jate hi is KHarabe se
shor-e-girya hazar uThta hai
kaun hai jis ko jaan 'aziz nahin
le tera jaan-nisar uThta hai
saf-ba-saf aa khaDe hue hain ghazal
dasht se KHaksar uThta hai
hai ye tesha ki ek sho'la sa
bar-sar-e-kohsar uThta hai
karb-e-tanhai hai wo shai ki KHuda
aadmi ko pukar uThta hai
tu ne phir kasb-e-zar ka zikr kiya
kahin hum se ye bar uThta hai
lo wo majbur shahr-e-sahra se
aaj diwana-war uThta hai
apne yan to zamane walon ka
roz hi e'tibar uThta hai
'jaun' uThta hai yun kaho ya'ni
'mir'-o-'ghaalib' ka yar uThta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.