bazm se unki hum kya lae
bazm se un kī ham kyā laa.e
pyāse ga.e aur pyāse aa.e
kaash junūñ itnā baḌh jaa.e
bhūlne vaalā yaad na aa.e
manzil se vo duur hī achchhe
jin ko manzil raas na aa.e
aah musībat ke vo lamhe
dost bhī jin meñ kaam na aa.e
bazm se un ki hum kya lae
pyase gae aur pyase aae
kash junun itna baDh jae
bhulne wala yaad na aae
manzil se wo dur hi achchhe
jin ko manzil ras na aae
aah musibat ke wo lamhe
dost bhi jin mein kaam na aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.