be-asar aarzu be-asar hai dua
be-asar aarzū be-asar hai duā
bā-asar hai faqat ek us kī razā
vo gunahgār mahshar meñ baḳhshā gayā
rahmat-e-haq pe jis ne bharosā kiyā
zindagī ne mujhe muñh lagāyā na jab
muñh chiḌhāne lagī merā zālim qazā
dast-e-qudrat meñ maiñ ik khilaunā sā huuñ
kis liye hai gunāhoñ kī mujh ko sazā
naujavānī meñ to mahv-e-ishrat rahe
ab buḌhāpe meñ aa.ī hai yād-e-ḳhudā
dil kisī ke tasavvur meñ khoyā rahe
dard-e-dil kī yahī hai faqat ik davā
vaqt aisā bhī aatā hai insān par
honā paḌtā hai maidāñ meñ tanhā khaḌā
jaane kyoñ aaj 'lāġhar' ne chup saadh lī
varna vo roz detā thā haq kī sadā
be-asar aarzu be-asar hai dua
ba-asar hai faqat ek us ki raza
wo gunahgar mahshar mein baKHsha gaya
rahmat-e-haq pe jis ne bharosa kiya
zindagi ne mujhe munh lagaya na jab
munh chiDhane lagi mera zalim qaza
dast-e-qudrat mein main ek khilauna sa hun
kis liye hai gunahon ki mujh ko saza
naujawani mein to mahw-e-ishrat rahe
ab buDhape mein aai hai yaad-e-KHuda
dil kisi ke tasawwur mein khoya rahe
dard-e-dil ki yahi hai faqat ek dawa
waqt aisa bhi aata hai insan par
hona paDta hai maidan mein tanha khaDa
jaane kyon aaj 'laghar' ne chup sadh li
warna wo roz deta tha haq ki sada
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.