be-basar aafat se taklif hoti hai mujhe
be-basar āfāt se taklīf hotī hai mujhe
sar-phire hālāt se taklīf hotī hai mujhe
jo mire dushman ko samjhā kar ga.ī kam-zarf hai
ya.anī kis kis baat se taklīf hotī hai mujhe
aaj bairūn-e-qafas sayyād kī parvā nahīñ
aap apnī zaat se taklīf hotī hai mujhe
jashn kar merī tabāhī par koī shikva nahīñ
bas tirī auqāt se taklīf hotī hai mujhe
ham-nashīnī se tirī har shab bahut shīrīn thī
juz tire ab raat se taklīf hotī hai mujhe
zulm kā aadī huuñ zanjīrī mirī pahchān hai
ḳhud lagā.ī ghaat se taklīf hotī hai mujhe
be-basar aafat se taklif hoti hai mujhe
sar-phire haalat se taklif hoti hai mujhe
jo mere dushman ko samjha kar gai kam-zarf hai
yani kis kis baat se taklif hoti hai mujhe
aaj bairun-e-qafas sayyaad ki parwa nahin
aap apni zat se taklif hoti hai mujhe
jashn kar meri tabahi par koi shikwa nahin
bas teri auqat se taklif hoti hai mujhe
ham-nashini se teri har shab bahut shirin thi
juz tere ab raat se taklif hoti hai mujhe
zulm ka aadi hun zanjiri meri pahchan hai
KHud lagai ghat se taklif hoti hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.