be-bason pe yatimon pe hansti rahi
be-basoñ pe yatīmoñ pe hañstī rahī
fiqre be-kas pe duniyā ye kastī rahī
kuchh bhī duniyā meñ us kā to apnā nahīñ
phir bhī kyoñ jaan duniyā meñ phañstī rahī
chāhī jo ne.amateñ tum vo khāte rahe
būḌhī maañ dekh kar hī tarastī rahī
maiñ bulandī kī parvāz kartā rahā
jo rahī merī manzil so pastī rahī
shukr har haal meñ kyoñ na kartā bhalā
āzmā.ish mirī tañg-dastī rahī
umr bhar zindagī ko maiñ rotā rahā
umr bhar zindagī mujh pe hañstī rahī
ek sū barhamī ek jānib ḳhushī
dil ke jo paas thī dil meñ bastī rahī
baad ruḳhsat ke 'tanvīr' ye chashm-e-nam
kyoñ use dekhne ko tarastī rahī
be-bason pe yatimon pe hansti rahi
fiqre be-kas pe duniya ye kasti rahi
kuchh bhi duniya mein us ka to apna nahin
phir bhi kyon jaan duniya mein phansti rahi
chahi jo neamaten tum wo khate rahe
buDhi man dekh kar hi tarasti rahi
main bulandi ki parwaz karta raha
jo rahi meri manzil so pasti rahi
shukr har haal mein kyon na karta bhala
aazmaish meri tang-dasti rahi
umr bhar zindagi ko main rota raha
umr bhar zindagi mujh pe hansti rahi
ek su barhami ek jaanib KHushi
dil ke jo pas thi dil mein basti rahi
baad ruKHsat ke 'tanwir' ye chashm-e-nam
kyon use dekhne ko tarasti rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.