be-gunah qatl hote jate hain
be-gunāh qatl hote jaate haiñ
sabr kā imtihān hai shāyad
marne vāloñ ko bhuul jaate haiñ
jaan hai to jahān hai shāyad
vo kabhī mere dil meñ rahte haiñ
ye bhī un kā makān hai shāyad
apnī hastī bhī yaañ hai koī chiiz
ek vahm-o-gumān hai shāyad
hai jo har shai meñ har jagah maujūd
vo ḳhudā be-nishān hai shāyad
shaiḳh hūroñ pe jaan dete haiñ
dil abhī tak javān hai shāyad
jin kā phīkā hai be-maza pakvān
un kī ūñchī dukān hai shāyad
be-gunah qatl hote jate hain
sabr ka imtihan hai shayad
marne walon ko bhul jate hain
jaan hai to jahan hai shayad
wo kabhi mere dil mein rahte hain
ye bhi un ka makan hai shayad
apni hasti bhi yan hai koi chiz
ek wahm-o-guman hai shayad
hai jo har shai mein har jagah maujud
wo KHuda be-nishan hai shayad
shaiKH huron pe jaan dete hain
dil abhi tak jawan hai shayad
jin ka phika hai be-maza pakwan
un ki unchi dukan hai shayad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.