be-gunahi ka har ehsas miTa de koi
be-gunāhī kā har ehsās miTā de koī
mujh ko is daur meñ jiine kī sazā de koī
naqsh yādoñ ke sabhī dil se miTā de koī
hosh meñ huuñ mujhe dīvāna banā de koī
koī is shahr meñ suntā nahīñ dil kī āvāz
kis tavaqqo pe kahīñ jā ke sadā de koī
aaj bhī jin ko hai apnoñ se vafā kī ummīd
merī tasvīr unheñ jā ke dikhā de koī
merā maazī mujhe kyā jaane kahāñ chhoḌ gayā
maiñ kahāñ dafn huuñ itnā to batā de koī
ġhairat-e-dast-e-talab baat to jab hai terī
apnā dāman hī tirī samt baḌhā de koī
hosh vāloñ ne to kar rakkhā hai duniyā ko tabāh
mujh ko is daur meñ dīvāna banā de koī
tauba to kī hai magar ab bhī ye hasrat hai 'shamīm'
de ke qasmeñ mujhe ik baar pilā de koī
be-gunahi ka har ehsas miTa de koi
mujh ko is daur mein jine ki saza de koi
naqsh yaadon ke sabhi dil se miTa de koi
hosh mein hun mujhe diwana bana de koi
koi is shahr mein sunta nahin dil ki aawaz
kis tawaqqo pe kahin ja ke sada de koi
aaj bhi jin ko hai apnon se wafa ki ummid
meri taswir unhen ja ke dikha de koi
mera mazi mujhe kya jaane kahan chhoD gaya
main kahan dafn hun itna to bata de koi
ghairat-e-dast-e-talab baat to jab hai teri
apna daman hi teri samt baDha de koi
hosh walon ne to kar rakkha hai duniya ko tabah
mujh ko is daur mein diwana bana de koi
tauba to ki hai magar ab bhi ye hasrat hai 'shamim'
de ke qasmen mujhe ek bar pila de koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.