be-hisi ki bhiD mein wo kho gaya
be-hisī kī bhiiḌ meñ vo kho gayā
ḳhauf thā jis kā vahī kal ho gayā
har qadam par paañv kyuuñ zaḳhmī hue
rāh-e-haq meñ kaun kāñTe bo gayā
rāt-bhar to chāñd jaagā mere saath
phir sahar ke vaqt thak kar so gayā
maañ ne bas paanī ubālā rāt-bhar
rote rote us kā bachcha so gayā
vo kahīñ kā bhī na 'maz.har' ho sakā
haath ko mujh se chhuḌā kar jo gayā
be-hisi ki bhiD mein wo kho gaya
KHauf tha jis ka wahi kal ho gaya
har qadam par panw kyun zaKHmi hue
rah-e-haq mein kaun kanTe bo gaya
raat-bhar to chand jaga mere sath
phir sahar ke waqt thak kar so gaya
man ne bas pani ubaala raat-bhar
rote rote us ka bachcha so gaya
wo kahin ka bhi na 'mazhar' ho saka
hath ko mujh se chhuDa kar jo gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.