be-ijazat to bas aati hai hawa kamre mein
be-ijāzat to bas aatī hai havā kamre meñ
kaun rahtā hai tire saath batā kamre meñ
roz aatī hai dabe-pāñv kisī kī ḳhushbū
chhoḌ jaatī hai koī naam pata kamre meñ
apne hālāt batā.eñ to batā.eñ kis ko
ek kurtā hai tire baad Tañgā kamre meñ
har na.ī baat pe jī bhar ke tamāsha karnā
ye farā.ez to vo karte haiñ adā kamre meñ
mujh se tū merī udāsī kā sabab pūchhtā hai
jā kabhī tū mirī tasvīr lagā kamre meñ
be-ijazat to bas aati hai hawa kamre mein
kaun rahta hai tere sath bata kamre mein
roz aati hai dabe-panw kisi ki KHushbu
chhoD jati hai koi nam pata kamre mein
apne haalat bataen to bataen kis ko
ek kurta hai tere baad Tanga kamre mein
har nai baat pe ji bhar ke tamasha karna
ye faraez to wo karte hain ada kamre mein
mujh se tu meri udasi ka sabab puchhta hai
ja kabhi tu meri taswir laga kamre mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.