be-jumbish-e-abru to nahin kaam chalega
be-jumbish-e-abrū to nahīñ kaam chalegā
aa kar mire qisse meñ tirā naam chalegā
Thahrā hai mire zehn meñ jo qāfila-e-gul
thoḌā sā to le kar yahāñ ārām chalegā
zuhhād kī maalā nahīñ jo raat ko nikle
rindoñ kā piyāla hai sar-e-shām chalegā
tū raqs kare gird mire aur maiñ gā.ūñ
ye khel bhī ai gardish-e-ayyām chalegā
chhup chhup ke jo aatā hai abhī merī galī meñ
ik roz mire saath sar-e-ām chalegā
be-jumbish-e-abru to nahin kaam chalega
aa kar mere qisse mein tera nam chalega
Thahra hai mere zehn mein jo qafila-e-gul
thoDa sa to le kar yahan aaram chalega
zuhhad ki mala nahin jo raat ko nikle
rindon ka piyala hai sar-e-sham chalega
tu raqs kare gird mere aur main gaun
ye khel bhi ai gardish-e-ayyam chalega
chhup chhup ke jo aata hai abhi meri gali mein
ek roz mere sath sar-e-am chalega
- Book : Adam ki behtareen ghazlein (Pg. 33)
- Author : abdul hamiid adam
- Publication : Fareed book depot (pvt) Ltd (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.