be-jurm-o-be-gunah gharib-ul-watan kiya
be-jurm-o-be-gunāh ġharīb-ul-vatan kiyā
ham ko vatan se shaah ġharīb-ul-vatan kiyā
ġhurbat kī shaam ulfat-e-gesū meñ dekhiye
us dil ne ham ko aah ġharīb-ul-vatan kyā
us par na paḌtī aañkh na chhuTtā kabhī vatan
bas tū ne ai nigāh ġharīb-ul-vatan kiyā
dushman na yuuñ ho dost ne jis tarah se hameñ
bā-hālat-e-tabāh ġharīb-ul-vatan kiyā
ai 'mehr' ham ko charḳh ne gardish se roz-o-shab
mānind-e-mehr-o-māh ġharīb-ul-vatan kiyā
be-jurm-o-be-gunah gharib-ul-watan kiya
hum ko watan se shah gharib-ul-watan kiya
ghurbat ki sham ulfat-e-gesu mein dekhiye
us dil ne hum ko aah gharib-ul-watan kya
us par na paDti aankh na chhuTta kabhi watan
bas tu ne ai nigah gharib-ul-watan kiya
dushman na yun ho dost ne jis tarah se hamein
ba-haalat-e-tabah gharib-ul-watan kiya
ai 'mehr' hum ko charKH ne gardish se roz-o-shab
manind-e-mehr-o-mah gharib-ul-watan kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.