be-kar jab dua hai dawa kya karegi aaj
be-kār jab duā hai davā kyā karegī aaj
aise meñ zindagī bhī vafā kyā karegī aaj
ye daur saḳht-o-talḳh kalāmī kā daur hai
lahjoñ kī narm tarz-e-adā kyā karegī aaj
kal tak bahut ġhurūr meñ phirtī thī zindagī
ab maut sāmne hai batā kyā karegī aaj
zabt-e-ġham-e-firāq kī dil meñ kahāñ sakat
zālim ke rūThne kī adā kyā karegī aaj
be-kar jab dua hai dawa kya karegi aaj
aise mein zindagi bhi wafa kya karegi aaj
ye daur saKHt-o-talKH kalami ka daur hai
lahjon ki narm tarz-e-ada kya karegi aaj
kal tak bahut ghurur mein phirti thi zindagi
ab maut samne hai bata kya karegi aaj
zabt-e-gham-e-firaq ki dil mein kahan sakat
zalim ke ruThne ki ada kya karegi aaj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.