be-kahe be-sune KHuda-hafiz
be-kahe be-sune ḳhudā-hāfiz
jo bhī guzre use ḳhudā-hāfiz
dard ruk bhī gayā agar to kyā
hai ajal sāmne ḳhudā-hāfiz
laġhzisheñ sab muaaf hoñ merī
vaqt ujlat meñ hai ḳhudā-hāfiz
itnī nārāzgī are tauba
vo bhī bīmār se ḳhudā-hāfiz
kam se kam muḌ ke dekhiye sāhab
zindagī kahtī hai ḳhudā-hāfiz
dard hai yā hai maut kī dastak
bebasī kyā kare ḳhudā-hāfiz
kār-e-duniyā to ḳhatm hotā nahīñ
kahnā hī paḌtā hai ḳhudā-hāfiz
be-kahe be-sune KHuda-hafiz
jo bhi guzre use KHuda-hafiz
dard ruk bhi gaya agar to kya
hai ajal samne KHuda-hafiz
laghzishen sab muaf hon meri
waqt ujlat mein hai KHuda-hafiz
itni naraazgi are tauba
wo bhi bimar se KHuda-hafiz
kam se kam muD ke dekhiye sahab
zindagi kahti hai KHuda-hafiz
dard hai ya hai maut ki dastak
bebasi kya kare KHuda-hafiz
kar-e-duniya to KHatm hota nahin
kahna hi paDta hai KHuda-hafiz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.