be-karan dasht-e-be-sada mere
be-karāñ dasht-e-be-sadā mere
aa khule bāzuoñ meñ aa mere
sāf-shaffāf sabz farsh tirā
gard-ālūda dast o pā mere
sarkash o sar-buland baam tirā
sar-nigūñ shahpar-e-havā mere
be-sutūñ ḳhema-e-sabāt tirā
mahv-e-sahrā nuqūsh-e-pā mere
shab-e-hijrāñ ki lā-zavāl tirī
ġham ki āmāda-e-fanā mere
dasht o dariyā sabhī ḳhamosh hue
zamzama-sanj o ham-navā mere
maiñ payambar tirā nahīñ lekin
mujh se bhī baat kar ḳhudā mere
ek ik taarā jāntā hai mujhe
haiñ sabhī 'zeb' āshnā mere
be-karan dasht-e-be-sada mere
aa khule bazuon mein aa mere
saf-shaffaf sabz farsh tera
gard-aluda dast o pa mere
sarkash o sar-buland baam tera
sar-nigun shahpar-e-hawa mere
be-sutun KHema-e-sabaat tera
mahw-e-sahra nuqush-e-pa mere
shab-e-hijran ki la-zawal teri
gham ki aamada-e-fana mere
dasht o dariya sabhi KHamosh hue
zamzama-sanj o ham-nawa mere
main payambar tera nahin lekin
mujh se bhi baat kar KHuda mere
ek ek tara jaanta hai mujhe
hain sabhi 'zeb' aashna mere
- Book : Dheemi Aanch ka Sitaara (Pg. 17)
- Author : Zeb Ghauri
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.