be-karani thi pas-e-bab-e-muqaffal qaid tha
be-karānī thī pas-e-bāb-e-muqaffal qaid thā
ishq kā maarā kisī ġham meñ musalsal qaid thā
vo harīm-e-dil se bāhar thā magar us kā ḳhayāl
dil ke andar hī kisī ḳhāne meñ bekal qaid thā
āḳhirash us ko bhī ab suulī pe laTkāyā gayā
zindagī bhar jo pas-e-dīvār-e-maqtal qaid thā
misl-e-barkash zindagī jiitā thā rahā durr-e-yatīm
vo rihā.ī ke dinoñ meñ bhī mukammal qaid thā
ek pal bas ek pal dekhā thā us mahtāb ko
aañkh ke parde meñ bas vo ek hī pal qaid thā
be-karani thi pas-e-bab-e-muqaffal qaid tha
ishq ka mara kisi gham mein musalsal qaid tha
wo harim-e-dil se bahar tha magar us ka KHayal
dil ke andar hi kisi KHane mein bekal qaid tha
aaKHirash us ko bhi ab suli pe laTkaya gaya
zindagi bhar jo pas-e-diwar-e-maqtal qaid tha
misl-e-barkash zindagi jita tha raha durr-e-yatim
wo rihai ke dinon mein bhi mukammal qaid tha
ek pal bas ek pal dekha tha us mahtab ko
aankh ke parde mein bas wo ek hi pal qaid tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.