be-kasi mein yahi hun pas kahin
be-kasī meñ yahī huuñ paas kahīñ
maiñ kahīñ huuñ mire havās kahīñ
maiñ tujhe bā-vafā samajhtā huuñ
na ġhalat ho mirā qayās kahīñ
ka.aba o dair meñ to DhūñDh chuke
vo na ho dil ke ās-pās kahīñ
ye ḳhulāsa hai daftar-e-ġham kā
kahīñ shikva hai iltimās kahīñ
'nūh' jā.eñge bazm-e-yār meñ ham
shauq se baḌh ke hai hirās kahīñ
be-kasi mein yahi hun pas kahin
main kahin hun mere hawas kahin
main tujhe ba-wafa samajhta hun
na ghalat ho mera qayas kahin
kaba o dair mein to DhunDh chuke
wo na ho dil ke aas-pas kahin
ye KHulasa hai daftar-e-gham ka
kahin shikwa hai iltimas kahin
'nuh' jaenge bazm-e-yar mein hum
shauq se baDh ke hai hiras kahin
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 142)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.