be-kasi ruKH badal hi jati hai
be-kasī ruḳh badal hī jaatī hai
aah muñh se nikal hī jaatī hai
husn ho aish ho javānī ho
dhuup āḳhir ko Dhal hī jaatī hai
hai ġham-e-ishq mustaqil varna
har balā sar se Tal hī jaatī hai
phuul karte raheñ jatan lākhoñ
bū chaman se nikal hī jaatī hai
jānte ham bhī haiñ ma.āl-e-nashāt
hasrat-e-dil machal hī jaatī hai
merī majbūriyoñ pe un kī nazar
haath dar-parda mal hī jaatī hai
dekh kar kāmrānī-e-tadbīr
chaal qismat bhī chal hī jaatī hai
Thokareñ khā ke fitrat-e-insān
rāh-e-ġham meñ sañbhal hī jaatī hai
nazm bhī tarjumān-e-dil hai 'adīb'
pesh lekin ġhazal hī jaatī hai
be-kasi ruKH badal hi jati hai
aah munh se nikal hi jati hai
husn ho aish ho jawani ho
dhup aaKHir ko Dhal hi jati hai
hai gham-e-ishq mustaqil warna
har bala sar se Tal hi jati hai
phul karte rahen jatan lakhon
bu chaman se nikal hi jati hai
jaante hum bhi hain maal-e-nashat
hasrat-e-dil machal hi jati hai
meri majburiyon pe un ki nazar
hath dar-parda mal hi jati hai
dekh kar kaamrani-e-tadbir
chaal qismat bhi chal hi jati hai
Thokaren kha ke fitrat-e-insan
rah-e-gham mein sanbhal hi jati hai
nazm bhi tarjuman-e-dil hai 'adib'
pesh lekin ghazal hi jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.