be-kasi se marne marne ka bharam rah jaega
be-kasī se marne marne kā bharam rah jā.egā
vo zarūr ā.eñge jab āñkhoñ meñ dam rah jā.egā
kyā ḳhushī meñ zindagī kā hosh kam rah jā.egā
ġham agar miT bhī gayā ehsās-e-ġham rah jā.egā
haa.e vo ik ālam-e-be-tābī-e-pinhāñ ki jab
fāsla manzil se apnā do-qadam rah jā.egā
chheḌ dī maiñ ne agar rūdād-e-husn-e-shash-jihat
nā-mukammal qissa-e-dair-o-haram rah jā.egā
be-kasi se marne marne ka bharam rah jaega
wo zarur aaenge jab aankhon mein dam rah jaega
kya KHushi mein zindagi ka hosh kam rah jaega
gham agar miT bhi gaya ehsas-e-gham rah jaega
hae wo ek aalam-e-be-tabi-e-pinhan ki jab
fasla manzil se apna do-qadam rah jaega
chheD di main ne agar rudad-e-husn-e-shash-jihat
na-mukammal qissa-e-dair-o-haram rah jaega
- Book : Kulliyat-e-Shakiil Badaayuuni (Pg. 559)
- Author : Shakiil Badaayuuni
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.