be-KHabar kaise ho rahe ho tum
be-ḳhabar kaise ho rahe ho tum
jāgte ho ki so rahe ho tum
kis liye mere nāḳhudā ban kar
merī kashtī Dubo rahe ho tum
merī qismat ko meT kar ḳhud hī
merī qismat pe ro rahe ho tum
mujh se merā hī tazkira kar ke
dil meñ kāñTe chubho rahe ho tum
ḳhuun kar ke mirī tamannā kā
daaġh dāman ke dho rahe ho tum
merī har baat kī nafī kar ke
apnī har baat kho rahe ho tum
mujh ko badnām kar ke duniyā meñ
ḳhud bhī badnām ho rahe ho tum
ai 'guhar' kyuuñ ḳhushī ke dāman meñ
mere ġham ko samo rahe ho tum
be-KHabar kaise ho rahe ho tum
jagte ho ki so rahe ho tum
kis liye mere naKHuda ban kar
meri kashti Dubo rahe ho tum
meri qismat ko meT kar KHud hi
meri qismat pe ro rahe ho tum
mujh se mera hi tazkira kar ke
dil mein kanTe chubho rahe ho tum
KHun kar ke meri tamanna ka
dagh daman ke dho rahe ho tum
meri har baat ki nafi kar ke
apni har baat kho rahe ho tum
mujh ko badnam kar ke duniya mein
KHud bhi badnam ho rahe ho tum
ai 'guhar' kyun KHushi ke daman mein
mere gham ko samo rahe ho tum
- Book : Aab-e-Gohar (Pg. 93)
- Author : Sayed-ul-Hassan Khan
- Publication : Sayed-ul-Hassan Khan (1995)
- Edition : 1995
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.